Categories
Hinglish Poetry

Dost

Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain
Hasa na paye toh kya huva
fizul ki baaten karke , har gam ye bhulate hai…!!

Khudgarzi inhe aati nahi
Sharafat toh ye jaante hi nahi
Lakh galiyan ye dete hai lekin
Dost k khatir mar mit jaate hai..
Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain…!!

Tere kapdon se lekar
Teri maa tak ko ye apna banate hain
Tere ghar wale jise nalayak samzhe
Vahi toh pakke yaar kehelate hain…
Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain…!!

Tehelna tuzhe jo pasand na ho
Toh kya farak inhe padta hai
Dosti mai toh dost k khatir
Napasand se bhi man lagana padta hai…
Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain…!!

Jab dur chale jate hai ye
Inki yaadein hume satati hain
Satana toh jaise hakk ho inka
Ye har kadam isse nibhate hain…
Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain..!!

Dil tuta ho ya tuti ho takdir
Ye sath tumhara nibhate hain
Phir usi sath ka vasta dekar
Ye tumse kya kya nahi karvate hain…
Ye dost nahi dawa hai sahab
Jo har dard mitate hain…
Ye har dard mitate hain…!!!


[email-subscribers-form id=”1″]

Liked it? Share it...